how-does-it-matter

Saturday, January 27, 2007

Zindagi

Jeevan ke raston ko tay karna nahin itna aasan hai.
Muskurate hue chehron ke peechhe ke dard ko samajhna mushkil bhara kaam hai.
Is safar ka har musafir hairan hai, pareshan hai.
Apne jeevan ke udagam aur vastvavik uddeshya se hi anjaan hai.

Vah kyon hai, uske astitva ka kya kaaran hai.
Kuch moodh rahi santutsh hain, sochte hain ki maya hi unka taran hai.
Uljhe hain jeevan ke chhal se sochkar ki yahi sachchi dharan hai.
Kuch ujjaval mastiksha vyathit hain, unki vyatha nahin akaran hai.

mein kuch unsuljhe tathyon ke kaarno ko samjhne ka prayatna kar raha hoon.
Unsuljhe prashno ke is jatil chakravhoyha se baahar nikalne ka jatna kar raha hoon.
Mera yeh manthan is jeevan va jeevnoprant ki paheli ko samjhne ka prayas hai.
Parantu in rahasyon ka is jeevan ke rahte suljhne ki atyant alpa aas hai.

kya mera jeevit hona pichhle janmon ka prayshchit hai.
kya is jeevan ke karmo ko pichhle tathyon se jodna uchit hai.
kuch aise hi jatil prashana mere mashtiska me prajjavalit hain.
mera hridaya aur mashtiska aise prashno ke chintan se vyatith hai.

Mithya va satya ke beech me antar na kar pane ke karan vichlit hoon.
jeevan, sharir avam atma ke sambandhon ke chintan se chintit hoon.
kabhi mein apne prashno ke bare me kabhi unke udagam ke bare me shankit hoon.
apne jeevan ke bare me aprasnna aur chintit hote hue bhi jeevit hoon.

kya mere paas jeevan ki in samasyaon va vyatha ka koi uttar hai.
ya kashton ke mool kaaran is jeevan ko nashta kar dena hi behtar hai.
kya marnoparanta ka samay is jeevan ki avadhi se bhi badtar hai.
shayad in prasno ke jamnadata va suljhane wale ko hi kahte ishwar hain.

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home