how-does-it-matter

Saturday, January 27, 2007

Nake Maksad

Meri zindagi ke kuch maayos lamhon ke badle kisi ko khushi ki ek jhalak de do.
Meri tabahi ke kuch jalwon se kisi kaafir ko ibadat ka sabak de do.
Mere ghar ke ujde daaman ke badle kisi ke bagiche ko bahaar de do.
Mere tanhaiyon ke patjarh ke badle kisi ko uska pyaar de do.

Mere lahoo ke kuch katre ke badle kisi ko jeevan ki saugaat de do.
meri aankon ko nam karke kisi ko sukhon ki baraat de do.
mere mehnat ki kuch pasine ke binduon ke badle kisi ke chehre ko muskurahat de do.
mere chehre ki kuch bhav bhangimaon ke badle kisi ko bachpan ki chulbulahat de do.

Kisi na kisi tarah se kisi ke kaam aane ki tamanna hai meri.
Meri is manavta prem ko meri khushi ka naam de do.
Apne liye to ji lete hain is nashwar vishva me jaanwar bhi.
Ai Ishwar meri insa ki zindagi ko koi nake maksad de do.

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home