how-does-it-matter

Monday, April 25, 2005

meri muskurahat

mushkarana padta hai mujhe,
apne gum chhopane ke liye;
sochta hoon ki jinda hoon bus,
zindagi ka karz chukane ke liye;

har muskurahat me meri ,
dard ki aahat hai;
tadapta rahta hoon mein,
log samjhe ki muskurahat hai;

apne gum to apne hain lekin ,
gairon ka gum bhi uthane padta hai;
phir usi gum ko chhopane ke khatir,
mujhe muskurana padta hai;

dard ne itna sataya mujhe,
ab to har koi begana lagta hai;
zindagi to mujhko bus ,
aansuon ka aashiyana lagta hai;

sukh to koson dur hai humse,
dukhon se rishta hamara hai;
khushi ne to saath na diya hamara,
bus aasuon ka hi sahara hai;

zindagi ka bojh kitna pada hai,
shabdon ki kami hai batane ke liye;
yeh hansta hua chehra mera,
yeh to hai bus dikhane ke liye;

thak gaya hoon muskurate muskurate,
doosron ko khushi jatane ke liye;
aasuon ki sakht jaroorat hai mujhe,
apna dil bahlane ke liye;

muskurana padta hai mujhe,
apne gum chhopane ke liye;
sochta hoon zinda hoon bus ,
zindagi ka karz chukane ke liye;

Rahim Das

Khair, khoon , khansi, khushi, bair, preet ,madhupaan
Rahiman chhopaye na chhope , jane sakal jahan
---Rahim Das