how-does-it-matter

Saturday, October 08, 2005

kyon?

Meri zindagi is kadar udaas kyon hai?
Gamon ka saya mere saath kyon hai?
Mujhe muskurane ke kaaran kyon nahin milte?
Meri aakhon me khusi ke diye kyon nahin jalte?
Meri hridaya me yeh nirvaat kyon hai?
Yuun akele hone ka ahsaas kyon hai?
Main chaah kar bhi muskura kyon nahin pata?
Apne liye khusi ke do pal juta kyon nahin pata?
Mujh par gamon ki meharbani kuch jyada hi kyon hai?
ya phir khusion ko gum samahne ki nadani yeh kyon hai?
Bina kisi apraadh ke bhi kuch galat karne ka aabhaas kyon hai?
Kisi masoom ka kuch bigadne ka yeh azeeb ahsaas kyon hai?