how-does-it-matter

Saturday, August 04, 2007

Ek tera hi sahara

Hazaron patjharhon ke rang ko badal sakta hoon
Anekon kathinaiyon ke phanon ko kuchal sakta hoon
Apna saath mere sang jata do mere maalik,
mein saikdon tokhre khake bhi sambhal sakta hoon.

Zindagi sikha rahi hai nit mujhko kisi na kisi bahane se,
kabhi thoda hanske pyar se, kabhi thoda roothke tane se,
mere sar pe apne haath ka saaya jata do mere malik,
mein angaaro pe bhi muskura ke chal sakta hoon.

Thodi shakti do mujhe parishithiyon se ladne ke liye,
thoda gyan do mujhe bhavasagar ke us paar tarne ke liye,
apne charnon ki dhool mere naam kar do mere malik,
mein kisi bhi namumkin ko sambhav kar sakta hoon.